HELLO FRIENDS!

Monday, January 21, 2008

Last week was a bit rough. Some of us here fell ill and things didn't go so well. Everything is back on track now.

Over the weekend I came home and found this guy relaxing on my bed:


I am having a suit made for myself. Dehradun is an education hub of North India and so there are many students of all ages. As a result there are many nice school uniforms to observe. I went to the local school uniform shop today and convinced them that I am studying in Doon Institute's Hotel Management course and that I need a uniform. My suit should be ready after two days time. They gave me this in advance.


The following is a transliteration of a story that I told in class today. It is a love story about a man called "char aankh" (four eyes). He has four eyes. The story was originally written the Devanagari script and read aloud with some accompanying drawings. I will post an English translation later:

CHAR AANKH KI KAHANI

char aankh javaan larka hai. voh haveli mein akela rehta hai. usne haveli banvayi. haveli "night club" (nait klab) ke paas. haveli nadi ke kinare hai. char aankh is nadi mein roz roz nahata hai. jab char aankh nadi mein nahata hai voh kehta hai: "a-re! thand lag rahi hai lekin acchi lagti hai!"

ek din nadi mein nahakar char aankh ne apne dost se phone par bat ki.

char aankh: hallo, prince bhai?
prince: kaun bol raha hai?
char aankh: main char aankh bol raha hoon.
prince: char aankh! kaise ho yaar?
char aankh: barhiya hoon! aaj tum kya kar rahe ho?
prince: main park ja raha hoon. kya tum mere saath chaloge?
char aankh: ji haa, main aaounga. main tumse cinema aur khilauna ki dukaan ke bic milounga.
prince: thik hai, phir milenge:
char aankh: khuda hafiz.

char aankh prince ke saath park mein per ke nice baitha tha. voh kuch nahin bol raha tha. is liye prince ne char aankh se kaha: a-re yaar kya hua tumhe? aaj main tumhari char aankhon mein pyaar dekh sakta hoon. kya tum kissi rani se mile?

char aankh: ji prince yeh sac hai. meri dimaag chal gaya. maf kijiye.
prince: aisi koi bat nahin yaar lekin mujhse kaho kya hua?
char aankh: a-re yaar main nahin so sakta hoon. lagta hai mujhe prem rog ho gaya.
prince: kya bat hai! prem rog! shabash! tumhari jaan ka nam kya hai? tum usse kahan mile? voh kahan rehti hai?
char aankh: uska nam sapna hai. main usse "night club" mein mila. voh "khwabon ki galiyon" mein rehti hai.
prince: accha, pas hi toh hai, "nafrat ki deewar" ke samne hai, na?
char aankh: ji ha
prince: toh ab tum kya karoge yaar?
char aankh: pata nahin. main kya karu kya kahu? main mar jaounga.
prince: a-re chup! aur mujhse kaho "night club" mein kya hua?
char aankh: "night club" mein sab log nac rahe the. main janewali tha...lekin main nahin gaya.
prince: kyon?
char aankh: kyonki sapna andar aayi.
prince: akeli thi?
char aankh: nahin. apni saheli ke saath aayi aur aake gana gayi.
prince: kaunsa gana?
char aankh: "tum paas aaye, yun muskaraae...tumne na jaane kya sapne dikhaae..."
aur is ke bad mujhe prem rog ho gaya. lekin main aashiq nahin hoon. dar lagta hai. pyar meri zindagi mein nahin rahega. agar sapna mujhse pyaar nahin karti to main mar jaounga.
prince: chup raho! tum bakvas keh rahe ho! sapna tumhari hai aur hogi... sirf tumhari.
char aankh: lekin kaise?
prince: aao mere saath.

char aankh prince ke saath gaya aur "wheel of time" (veel auv taim) ke nice baitha tha.

char aankh: voh kya hai prince?
prince: voh "wheel of time" (veel auv taim) hai. in mein gyan hai aur yaha par sab kuch hai. is sthan ka nam "chill house" hai. yaha par "si-di-plaiyr", "di-vi-di plaiyr", aur bahut "glaimor".
char aankh: accha, samajh gaya.

is ke bad prince ne char aankh se dil ki batein kahin. aur char aankh khush tha.

usne kaha: dhanyavad dost! aaj mein sapna ke ghar jaounga aur usse kahounga: meri jaan, mera pehla pyaar, mere sapnon ki rani! mere bahon mein aao! ham saath saath rahenge! khush hamari hongi!

prince: shabash yaar!

------------------------------------------------------------------------------------
Vocabularly list for my story. I handed out copies of this to my classmates:

Today's lunch:


Straight from the heart,
Grant

No comments: